Saturday, December 6, 2008

sar jhuka

Ek din, bas ek din, apne saare, zakhm gin
Ek raat, bas ek raat, tu soch kya, huwa tere saath
Khud se kahaan tak bhaagoge, subaah jaati hai kab jaagoge
Duniya ne kanta kat-te gaye, khud ko kahaan tak kaatoge
Saans lo, dum bharo, chillaakar, sab se kaho
Sar jhuka, khuda hoon main
Aasmaanon pe khada hoon main

Har sparsh mein, kheenchaav hai, har dosti mein tanaav hai
Duwa bhi mein, bala bhi mein, meri dava, mera ghaav hai
Aadhi roshni, aadhe andhere, aadhi zindagi yun na jalaao
Tum jo sochte hai woh tum ho
Socho jaago sab ko jagaao
Saans lo, dum bharo, chillaakar, sab se kaho
Sar jhuka, khuda hoon main -2
Aasmaanon pe khada hoon main


Ye sahi hai, ye galat, meri maano, socho mat
Ye na pehno, woh na bolo, ho sake toh munh na kholo
Ye pado mat, woh suno mat, main chununga, tum chuno mat
Kat-te jaao, mit-te jaao, dabna seekho, dabte jaao
Bas ab aur nahin, ab aur nahin, aur nahin, ab aur nahin
Bas aur nahin, ab aur nahin
(Aur nahin, ab aur nahin, bas aur nahin, ab aur nahin
Aur nahin, ab aur nahin, bas aur nahin)
Saans lo, dum bharo, chillaakar, sab se kaho
Sar jhuka, khuda hoon main

music is prescient.

who will answer this helplesness?

No comments: